Zara Si Der Ko Sakte Mein Aa Gaye The Ham

Hi Guys! Today I’m very excited to post a Ghazal Zara Si Der Ko Sakte Mein Aa Gaye The Ham with Images. Hope you like it. For more please visit Dasht-e-Tanhai.

Ghazal

ذرا سی دیر کو سکتے میں آ گئے تھے ہم

کہ اِک دوجے کے رستے میں آ گئے تھے ہم

جو اپنا حصہ بھی اوروں میں بانٹ دیتا ہے

اِک ایسے شخص کے حصے میں آ گئے تھے ہم

بات ایسی بھی بھلا آپ میں کیا رکھی ہے

اِک دیوانے نے زمیں سر پہ اٹھا رکھی ہے

اتفاقا کہیں مل جائے تو کہنا اُس سے

تیرے شاعر نے بڑی دھوم مچا رکھی ہے

مہرباں ہم پہ ہر ایک رات ہوا کرتی تھی

آنکھ لگتے ہی ملاقات ہوا کرتی تھی

ہجر کی رات ہے اور آنکھ میں آنسو بھی نہیں

ایسے موسم میں تو برسات ہوا کرتی تھی

Ghazal

Zara Si Der Ko Sakte Mein Aa Gaye The Ham

Ke Ek Duje Ke Raste Mein Aa Gaye The Ham

Jo Apna Hissa Bhi Auron Mein Bant Deta Hai

Ek Aise Shakhs Ke Hisse Mein Aa Gaye The Ham

Baat Aisi Bhi Bhala Aap Mein Kya Rakhi Hai

Ek Deewane Ne Zameen Sar Pe Utha Rakhi Hai

Ittefaqan Kahin Mil Jaaye To Kahana Usse

Tere Shayar Ne Badi Dhum Macha Rakhi Hai

Meherban Ham Pe Har Ek Raat Hua Karti Thi

Aankh Lagte Hi Mulakat Hua Karti Thi

Hijar Ki Raat Hai Aur Aankh Mein Aansu Bhi Nahin

Aise Mausam Mein To Barsat Hua Karti Hai

Thanks for visiting the website. Hope you like the Ghazal(Zara Si Der Ko Sakte Mein Aa Gaye The Ham).

Dasht-e-Tanhai

Scroll to Top